Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
jab se chhuTaa hai gulistaan ham se
roz sunte hain bahaar aai hai
جب سے چھوٹا ہے گلستاں ہم سے
روز سنتے ہیں بہار آئی ہے
जब से छूटा है गुलिस्ताँ हम से
रोज़ सुनते हैं बहार आई है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
meri havas ke andarun mahrumiyaan hain dost
vaamaanda-e-bahaar huun ghaTiyaa kahe so huun
shelf pe ulTaa kar ke rakh do aur bisraa do
gul-daanon mein phuul sajaao khvaab kaa kyaa hai