Shayari
ye jo mahfil mein mire naam se maujud huun main
main nahin huun miraa dhokaa hai koi dekh na le
jaane vaale ne hamesha ki judaai de kar
dil ko aankhon mein dhaDakne ke liye chhoD diyaa
جانے والے نے ہمیشہ کی جدائی دے کر
دل کو آنکھوں میں دھڑکنے کے لیے چھوڑ دیا
जाने वाले ने हमेशा की जुदाई दे कर
दिल को आँखों में धड़कने के लिए छोड़ दिया

ye jo mahfil mein mire naam se maujud huun main
main nahin huun miraa dhokaa hai koi dekh na le
ye kah ke us ne mujhe makhmase mein Daal diyaa
milaao haath agar vaaqai mohabbat hai
mujhe tanhaai ki aadat hai meri baat chhoDein
ye liije aap kaa ghar aa gayaa hai haat chhoDein
ye jo milaate phirte ho tum har kisi se haath
aisaa na ho ki dhonaa paDe zindagi se haath
guzar rahi thi zindagi guzar rahi hai zindagi
nasheb ke baghair bhi faraaz ke baghair bhi
aap se ab kyaa chhupaanaa aap koi ghair hain
ho chukaa huun main kisi kaa aap bhi ho jaaiye
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
khamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zaraa taskin hoti hai
dil kaa shajar to aur bhi palne ki aaD mein
murjhaa gayaa hai phulne-phalne ke naam par
kaun si baat nai ai dil-e-naakaam hui
shaam se subh hui subh se phir shaam hui
sab bichhDe saathi mil jaaein murjhaaein chehre khil jaaein
sab chaak dilon ke sil jaaein koi aisaa kaam karo 'vaali'