Shayari
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ishq jab tak na kar chuke rusvaa
aadmi kaam kaa nahin hotaa
عشق جب تک نہ کر چکے رسوا
آدمی کام کا نہیں ہوتا
इश्क़ जब तक न कर चुके रुस्वा
आदमी काम का नहीं होता

ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein