Shayari
har samt sabza-zaar bichhaanaa basant kaa
phulon mein rang-o-bu ko luTaanaa basant kaa
paighaam-e-lutf-e-khaas sunaanaa basant kaa
dariyaa-e-faiz-e-aam bahaanaa basant kaa
پیغام لطف خاص سنانا بسنت کا
دریائے فیض عام بہانا بسنت کا
पैग़ाम-ए-लुत्फ़-ए-ख़ास सुनाना बसंत का
दरिया-ए-फ़ैज़-ए-आम बहाना बसंत का

har samt sabza-zaar bichhaanaa basant kaa
phulon mein rang-o-bu ko luTaanaa basant kaa
tu ne hi rah na dikhaai to dikhaaegaa kaun
ham tiri raah mein gumraah hue baiThe hain
hai fahm us kaa jo har insaan ke dil ki zabaan samjhe
sukhan vo hai jise har shakhs apnaa hi bayaan samjhe
har shai mein har bashar mein nazar aa rahaa hai tu
sajde mein apne sar ko jhukaaun kahaan kahaan
mohabbat mein nahin hai ibtidaa yaa intihaa koi
ham apne ishq ko hi ishq ki manzil samajhte hain
qudrat ki barkatein hain khazaana basant kaa
kyaa khuub kyaa ajiib zamaana basant kaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
mujh ko paanaa hai to phir mujh mein utar kar dekho
yuun kinaare se samundar nahin dekhaa jaataa