Shayari
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa
mahfil-e-ishq mein vo naazish-e-dauraan aayaa
ai gadaa khvaab se bedaar ki sultaan aayaa
محفل عشق میں وہ نازش دوراں آیا
اے گدا خواب سے بیدار کہ سلطاں آیا
महफ़िल-ए-इश्क़ में वो नाज़िश-ए-दौराँ आया
ऐ गदा ख़्वाब से बेदार कि सुल्ताँ आया

dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa
us ne vaa'da kiyaa hai aane kaa
rang dekho gharib-khaane kaa
kashti-e-mai ko hukm-e-ravaani bhi bhej do
jab aag bhej di hai to paani bhi bhej do
insaan ke lahu ko piyo izn-e-aam hai
angur ki sharaab kaa piinaa haraam hai
aaDe aayaa na koi mushkil mein
mashvare de ke haT gae ahbaab
kaam hai meraa taghayyur naam hai meraa shabaab
meraa naara inqilaab o inqilaab o inqilaab
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae