Shayari
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
J
Joshish Azimabaditanik udhar hi rah ai hirs-e-duniyaa
na de taklif is gosha-nashin ko
تنک اودھر ہی رہ اے حرص دنیا
نہ دے تکلیف اس گوشہ نشیں کو
तनिक ऊधर ही रह ऐ हिर्स-ए-दुनिया
न दे तकलीफ़ इस गोशा-नशीं को
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
tujh se ham-bazm hon nasib kahaan
tu kahaan aur main gharib kahaan
zaahid na rahne paaeinge aabaad mai-kade
jab tak na Dhaaiyegaa tiri khaanqaah ko
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam mein aaftaab ko mahtaab le gayaa
ai zulf-e-yaar tujh se bhi aashufta-tar huun main
mujh saa na koi hogaa pareshaan-e-rozgaar
chashm-e-vahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
ab un se paai hai taklif to shikaayat kyaa
hamin ne sar pe chaDhaayaa thaa kuchh kaminon ko
dil ko phir dard se aabaad kiyaa hai main ne
muddaton baa'd tujhe yaad kiyaa hai main ne
dard-e-dil chhoD jaaiye so kahaan
apni baahar to yahaan guzar hi nahin
aafat-o-qahr fitne musibat alam dard taklif karb-o-balaa ranj-o-gham
ik tavajjoh haTaai jo us ne zaraa dekh lo khud pe kaisi ghaDi aa gai