Shayari
Thahri thi ghizaa apni jo gham ishq-e-butaan mein
so aah hamaari hamein khuraak ne khaayaa
dikhaai kyuun dil-e-vahshi ko chashm vo 'jurat'
sharaab aur divaane ko tu pilaa laayaa
دکھائی کیوں دل وحشی کو چشم وہ جرأتؔ
شراب اور دوانے کو تو پلا لایا
दिखाई क्यूँ दिल-ए-वहशी को चश्म वो 'जुरअत'
शराब और दिवाने को तू पिला लाया

Thahri thi ghizaa apni jo gham ishq-e-butaan mein
so aah hamaari hamein khuraak ne khaayaa
khaae so pachhtaae aur pachhtaae vo bhi jo na khaae
ye gham-e-ishq-e-butaan laDDu hai goyaa bor kaa
puchho na kuchh sabab mire haal-e-tabaah kaa
ulfat kaa ye samar hai natija hai chaah kaa
ik bosa maangtaa huun main khairaat-e-husn ki
do maal ki zakaat ki daulat ziyaada ho
allaah-re bhulaapaa munh dho ke khud vo bole
sungho to ho gayaa ye paani gulaab kyunkar
shaagird-e-rashid aap saa huun shaikh-ji saahib
kuchh ilm o amal tum ne na shaitaan mein chhoDaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
gae the baalTi bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaDe apne kisi masjid se bhar laate to achchhaa thaa
nigaah o dil ke paas ho vo meraa aashnaa rahe
havas hai yaa ki ishq hai ye kaun sochtaa rahe
iraada phir kisi se kar liyaa us ne mohabbat kaa
so ab ye dekhnaa hai kaun hai zad mein tabaahi ke