Shayari
'ajmal' safar mein saath rahin yuun saubatein
jaise ki har sazaa kaa sazaa-vaar main hi thaa
bajaae gul mujhe tohfa diyaa babulon kaa
main munharif to nahin thaa tire usulon kaa
بجائے گل مجھے تحفہ دیا ببولوں کا
میں منحرف تو نہیں تھا ترے اصولوں کا
बजाए गुल मुझे तोहफ़ा दिया बबूलों का
मैं मुन्हरिफ़ तो नहीं था तिरे उसूलों का

'ajmal' safar mein saath rahin yuun saubatein
jaise ki har sazaa kaa sazaa-vaar main hi thaa
main bujh gayaa to kaun ujaalegaa teraa ruup
zinda huun is khayaal mein martaa huaa saa main
ufuq ke aakhiri manzar mein jagmagaaun main
hisaar-e-zaat se niklun to khud ko paaun main
kuchh ta'alluq bhi nahin rasm-e-jahaan se aage
us se rishta bhi rahaa vahm o gumaan se aage
zamir o zehn mein ik sard jang jaari hai
kise shikast duun aur kis pe fath paaun main
ye gham miraa hai to phir ghair se ilaaqa kyaa
mujhe hi apni tamannaa kaa baar Dhone de
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai
dekhaa hai jis ne husn-e-tajalli bahaar kaa
haTaa kar phuul kaanTe hi bichhaa do
hamein chalne mein diqqat ho rahi hai
aasmaanon mein uDaa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam havaa karti hai