Shayari
aakaash ki hasin fazaaon mein kho gayaa
main is qadar uDaa ki khalaaon mein kho gayaa
taalluq hai na ab tark-e-taalluq
khudaa jaane ye kaisi dushmani hai
تعلق ہے نہ اب ترک تعلق
خدا جانے یہ کیسی دشمنی ہے
तअल्लुक़ है न अब तर्क-ए-तअल्लुक़
ख़ुदा जाने ये कैसी दुश्मनी है

aakaash ki hasin fazaaon mein kho gayaa
main is qadar uDaa ki khalaaon mein kho gayaa
is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain
ab to chubhne lage aankhon mein ujaale mujh ko
log bhopal ki taarif kiyaa karte hain
is nagar mein to tire ghar ke sivaa kuchh bhi nahin
kyaa tire shahr ke insaan hain patthar ki tarah
koi naghma koi paayal koi jhankaar nahin
aap daaman ko sitaaron se sajaae rakhiye
meri qismat mein to patthar ke sivaa kuchh bhi nahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
mire khvaabon ki chikni siDhiyon par
na jaane kis kaa but TuuTaa paDaa hai
khaak aab-e-girya se aatish bujhe naa-chaar ham
jaanib-e-ku-e-butaan juun baad-e-sarsar jaaeinge