Shayari
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
lahu tevar badaltaa hai kahaan tak
miraa beTaa siyaanaa ho to dekhun
لہو تیور بدلتا ہے کہاں تک
مرا بیٹا سیانا ہو تو دیکھوں
लहू तेवर बदलता है कहाँ तक
मिरा बेटा सियाना हो तो देखूँ

ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
aate aate aaegi duniyaa-daari
jaate jaate faaqa-masti jaaegi
ghaib kaa aisaa parinda hai zamin par insaan
aasmaanon ko jo shah-par pe uThaae hue hai
ham bhi tire beTe hain zaraa dekh hamein bhi
ai khaak-e-vatan tujh se shikaayat nahin karte
baDi bholi hai kharchili zarurat
shahanshaahi kamaai maangti hai
gharibi kaaTnaa aasaan nahin hai
vo saari umr patthar kaaTtaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
sunaa hai ki dilli mein ullu ke paTThe
rag-e-gul se bulbul ke par baandhte hain
dil agar dil hai to vaabasta-e-gham bhi hogaa
nikhat-e-gul bhi kahin gul se judaa rahti hai
tum miTaa sakte nahin dil se miraa naam kabhi
phir kitaabon se miTaane ki zarurat kyaa hai
dukhtar-e-darzi kaa siina dekh kar
dil mein ye aayaa ki mal mal dijiye