Shayari
main to mushtaaq huun aandhi mein bhi uDne ke liye
main ne ye shauq ajab dil ko lagaa rakkhaa hai
jise paDhaa nahin tum ne kabhi mohabbat se
kitaab-e-zist kaa vo baab hain mire aansu
جسے پڑھا نہیں تم نے کبھی محبت سے
کتاب زیست کا وہ باب ہیں مرے آنسو
जिसे पढ़ा नहीं तुम ने कभी मोहब्बत से
किताब-ए-ज़ीस्त का वो बाब हैं मिरे आँसू

main to mushtaaq huun aandhi mein bhi uDne ke liye
main ne ye shauq ajab dil ko lagaa rakkhaa hai
log nafrat ki fazaaon mein bhi ji lete hain
ham mohabbat ki havaa se bhi Daraa karte hain
qismat ajiib khel dikhaati chali gai
jo hans rahe the un ko rulaati chali gai
tirgi khaamushi bebasi tishnagi
hijr ki raat mein khaamiyaan khaamiyaan
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jo tiir aayaa gale mil ke dil se lauT gayaa
vo apne fan mein main apne hunar mein tanhaa thaa
kuchh khud bhi huun main ishq mein afsurda o ghamgin
kuchh talkhi-e-haalaat kaa ehsaas huaa hai
tahzib ke libaas utar jaaeinge janaab
dollar mein yuun nachaaegi ikkisvin sadi