Shayari
chaahi thi dil ne tujh se vafaa kam bahut hi kam
shaayad isi liye hai gilaa kam bahut hi kam
katraate hain bal khaate hain ghabraate hain kyuun log
sardi hai to paani mein utar kyuun nahin jaate
کتراتے ہیں بل کھاتے ہیں گھبراتے ہیں کیوں لوگ
سردی ہے تو پانی میں اتر کیوں نہیں جاتے
कतराते हैं बल खाते हैं घबराते हैं क्यूँ लोग
सर्दी है तो पानी में उतर क्यूँ नहीं जाते

chaahi thi dil ne tujh se vafaa kam bahut hi kam
shaayad isi liye hai gilaa kam bahut hi kam
tumhaare vaaste sab kuchh hai mere banda-navaaz
magar ye shart ki pahle pasand aao mujhe
ye kyaa kahun ki mujh ko kuchh gunaah bhi aziiz hain
ye kyuun kahun ki zindagi savaab ke liye nahin
ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke sivaa
bahut haqir hain ham tum baDi hai ye duniyaa
ye dil-navaaz udaasi bhari bhari palkein
are in aankhon mein kyaa hai suno dikhaao mujhe
haae phir fasl-e-bahaar aai 'khizaan'
kabhi marnaa kabhi jiinaa hai muhaal
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aa mire chaand raat suuni hai
baat banti nahin sitaaron se
haae ye tavil o sard raatein
aur ek hayaat-e-mukhtasar mein