Shayari
kuchh is tarah tiri ulfat mein kaaT di main ne
gunaahgaar huaa aur na paak-baaz rahaa
tiri zulfon ko kyaa suljhaaun ai dost
miri raahon mein pech-o-kham bahut hain
تری زلفوں کو کیا سلجھاؤں اے دوست
مری راہوں میں پیچ و خم بہت ہیں
तिरी ज़ुल्फ़ों को क्या सुलझाऊँ ऐ दोस्त
मिरी राहों में पेच-ओ-ख़म बहुत हैं

kuchh is tarah tiri ulfat mein kaaT di main ne
gunaahgaar huaa aur na paak-baaz rahaa
mire fusun ne dikhaai hai tere rukh ki sahar
mire junun ne banaai hai tere zulf ki shaam
pahunch hi jaaegaa ye haath teri zulfon tak
yunhi junun kaa agar silsila daraaz rahaa
zabaan pe naam-e-mohabbat bhi jurm thaa yaani
ham un se jurm-e-mohabbat bhi bakhshvaa na sake
ye maslak apnaa apnaa hai ye fitrat apni apni hai
jalaao aashiyaan tum ham kareinge aashiyaan paidaa
aap ki meri kahaani ek hai
kahiye ab main kyaa sunaaun kyaa sunun
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
kis shaan se gae hain shahidaan-e-ku-e-yaar
qaatil bhi haath uThaa ke sharik-e-duaa hue