Shayari
dil pe ik gham ki ghaTaa chhaai hui thi kab se
aaj un se jo mile TuuT ke barsaat hui
rakht-e-safar jo paas hamaare na thaa to kyaa
shauq-e-safar ko saath liyaa aur chal paDe
رخت سفر جو پاس ہمارے نہ تھا تو کیا
شوق سفر کو ساتھ لیا اور چل پڑے
रख़्त-ए-सफ़र जो पास हमारे न था तो क्या
शौक़-ए-सफ़र को साथ लिया और चल पड़े

dil pe ik gham ki ghaTaa chhaai hui thi kab se
aaj un se jo mile TuuT ke barsaat hui
bas yunhi ham-sari-e-ahl-e-jahaan mumkin hai
dam-ba-dam apni bulandi se utartaa jaaun
'makhmur' kaisi raah thi ham jis pe chal paDe
aai thi jis taraf se usi samt phir gai
main us ke vaade kaa ab bhi yaqin kartaa huun
hazaar baar jise aazmaa liyaa main ne
ho jaae jahaan shaam vahin un kaa baseraa
aavaara parindon ke Thikaane nahin hote
maslahat ke hazaar parde hain
mere chehre pe kitne chehre hain
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad