Shayari
main us ko bhuul jaaun raat ye maangi duaa main ne
karun kyaa main agar meri duaa vaapas palaT aae
sab mumkin thaa pyaar mohabbat hanste chehre khvaab-nagar
lekin ek anaa ne kitne bhole din barbaad kiye
سب ممکن تھا پیار محبت ہنستے چہرے خواب نگر
لیکن ایک انا نے کتنے بھولے دن برباد کئے
सब मुमकिन था प्यार मोहब्बत हँसते चेहरे ख़्वाब-नगर
लेकिन एक अना ने कितने भोले दिन बर्बाद किए

main us ko bhuul jaaun raat ye maangi duaa main ne
karun kyaa main agar meri duaa vaapas palaT aae
hamein to yaad bahut aayaa mausam-e-gul mein
vo surkh phuul saa chehra khilaa huaa ab ke
raat paDte hi har ik roz ubhar aati hai
kis ke rone ki sadaa zaat ke sannaaTe mein
bichhaD ke tujh se ajab haal ho gayaa meraa
tamaam shahr paraayaa dikhaai detaa hai
bhigi miTTi ki mahak pyaas baDhaa deti hai
dard barsaat ki bundon mein basaa kartaa hai
mujh ko barbaad khud hi honaa thaa
tum pe ilzaam be-sabab aae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh
dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa
yuun mohabbat se jo chaahe koi apnaa kar le
jo hamaaraa na ho us ke kahin ham hote hain
ik zamaana ho rahaa hai ishq mein ham se khilaaf
kis ke kis ke dil mein dil Daalein ilaahi kyaa karein
kucha-e-yaar mein rahne se nahin aur husul
ishq hai mujh ko ik us ke dar-o-divaar ke saath