Shayari
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
itnaa mardud huun ki Dar hai mujhe
qabr se pheink de zamin na kahin
اتنا مردود ہوں کہ ڈر ہے مجھے
قبر سے پھینک دے زمیں نہ کہیں
इतना मरदूद हूँ कि डर है मुझे
क़ब्र से फेंक दे ज़मीं न कहीं

kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
kyuun paas mire aa kar yuun baiThe ho munh phere
kyaa lab tire misri hain main jin ko chabaa jaataa
apni kashti kaa hai khudaa haafiz
pichhe tufaan hai saamne girdaab
shaghl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hain
kuchh samajh mein nahin aataa ki ye kyaa kahte hain
tumhein gar khush-zabaan honaa hai saahab
to lo munh mein zaraa meri zabaan ko
ye kyaa ki hamin marte rahein lutf to jab hai
taasir-e-mohabbat jo idhar ho to udhar bhi
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
mujhe Dar hai ki ham donon kahin samdhi na ban jaaein
tiri gulnaar college mein miraa gulzaar college mein
jaise dozakh ki havaa khaa ke abhi aayaa ho
kis qadar vaaiz-e-makkaar Daraataa hai mujhe
sang-e-behis se uThi mauj-e-siyah-taab koi
sarsaraataa huaa ik saanp khanDar se niklaa
na jaane baahar bhi kitne aaseb muntazir hon
abhi main andar ke aadmi se Daraa huaa huun