Shayari
ishq bhi kyaa chiiz hai sahal bhi dushvaar hai
un ko idhar dekhnaa mujh ko udhar dekhnaa
maanein jo meri baat muridaan-e-be-riyaa
dein shaikh ko kafan to Dubo kar sharaab mein
مانیں جو میری بات مریدان بے ریا
دیں شیخ کو کفن تو ڈبو کر شراب میں
मानें जो मेरी बात मुरीदान-ए-बे-रिया
दें शैख़ को कफ़न तो डुबो कर शराब में

ishq bhi kyaa chiiz hai sahal bhi dushvaar hai
un ko idhar dekhnaa mujh ko udhar dekhnaa
azmat-e-kaaba musallam hai magar but-kada mein
ek aaraam ye kaisaa hai ki kuchh duur nahin
milein kisi se to bad-naam hon zamaane mein
abhi gae hain vo mujh ko sunaa ke parde mein
tujh ko dekhaa na tire naaz-o-adaa ko dekhaa
teri har tarz mein ik shaan-e-khudaa ko dekhaa
mujhe kaafir hi bataataa hai ye vaaiz kam-bakht
main ne bandon mein kai baar khudaa ko dekhaa
talkhi tumhaare vaaz mein hai vaaizo magar
dekho to kis maze ki hai talkhi sharaab mein
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe