Shayari
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
itnaa to jazb-e-ishq ne baare asar kiyaa
us ko bhi ab malaal hai mere malaal kaa
اتنا تو جذب عشق نے بارے اثر کیا
اس کو بھی اب ملال ہے میرے ملال کا
इतना तो जज़्ब-ए-इश्क़ ने बारे असर किया
उस को भी अब मलाल है मेरे मलाल का

ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
na sikandar hai na daaraa hai na qaisar hai na jam
be-mahal khaak mein hain qasr banaane vaale
agar hayaat hai dekheinge ek din didaar
ki maah-e-eid bhi aakhir hai in mahinon mein
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qaarun ko bhi apnaa khazaanaa nahin miltaa
ai sanam vasl ki tadbiron se kyaa hotaa hai
vahi hotaa hai jo manzur-e-khudaa hotaa hai
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aataa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
rahte the kabhi jin ke dil mein ham jaan se bhi pyaaron ki tarah
baiThe hain unhin ke kuche mein ham aaj gunahgaaron ki tarah
baDhaai mai jo mohabbat se aaj saaqi ne
ye kaanpe haath ki saaghar bhi ham uThaa na sake
kisi ke ishq mein barbaad honaa
hamein aayaa nahin farhaad honaa
ishq bin jiine ke aadaab nahin aate hain
'mir' saahab ne kahaa hai ki miyaan ishq karo