Shayari
sadiyon se kinaare pe khaDaa suukh rahaa hai
is shahr ko dariyaa mein giraa denaa chaahiye
laDki achchhi hai 'alvi'
naam us kaa mar jaanaa hai
لڑکی اچھی ہے علویؔ
نام اس کا مر جانا ہے
लड़की अच्छी है 'अल्वी'
नाम उस का मर जाना है

sadiyon se kinaare pe khaDaa suukh rahaa hai
is shahr ko dariyaa mein giraa denaa chaahiye
sardi mein din sard milaa
har mausam bedard milaa
andheraa hai kaise tiraa khat paDhun
lifaafe mein kuchh raushni bhej de
maanaa ki tu zahin bhi hai khub-ru bhi hai
tujh saa na main huaa to bhalaa kyaa buraa huaa
nazron se naaptaa hai samundar ki vusatein
saahil pe ik shakhs akelaa khaDaa huaa
aaj phir mujh se kahaa dariyaa ne
kyaa iraada hai bahaa le jaaun
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ham ne maanaa ki taghaaful na karoge lekin
khaak ho jaaeinge ham tum ko khabar hote tak
be-khudi be-sabab nahin 'ghaalib'
kuchh to hai jis ki parda-daari hai
khud ko kabhi na dekhaa aaine hi ko dekhaa
ham se to kyaa ki khud se naa-aashnaa rahaa hai
yunhi dil ne chaahaa thaa ronaa-rulaanaa
tiri yaad to ban gai ik bahaanaa