Shayari
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
huzur-e-yaar bhi aansu nikal hi aate hain
kuchh ikhtilaaf ke pahlu nikal hi aate hain
حضور یار بھی آنسو نکل ہی آتے ہیں
کچھ اختلاف کے پہلو نکل ہی آتے ہیں
हुज़ूर-ए-यार भी आँसू निकल ही आते हैं
कुछ इख़्तिलाफ़ के पहलू निकल ही आते हैं

vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa
daavar-e-hashr miraa naama-e-aamaal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi naam aate hain
jis tarah ham ne raatein kaaTi hain
us tarah ham ne din guzaare hain
meri vafaaein yaad karoge
rooge fariyaad karoge
hamein bhi dekh ki ham aarzu ke sahraa mein
khile hue hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarah
ye Dar hai qaafile vaalo kahin na gum kar de
miraa hi apnaa uThaayaa huaa ghubaar mujhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khud ko bachaaun jism sambhaalun ki ruuh ko
bikhraa huaa hai dard yahaan se vahaan talak
sadaa-e-dil ko kahin baaryaab honaa thaa
mire savaal kaa kuchh to javaab honaa thaa
rahne de taklif-e-tavajjoh dil ko hai aaraam bahut
hijr mein teri yaad bahut hai gham mein teraa naam bahut