Shayari
ammaame ko utaar ke paDhiyo namaaz shaikh
sajde se varna sar ko uThaayaa na jaaegaa
shaakh mein gul ki nazaakat ye baham pahunchi hai
shama-saan garmi-e-nazzaara se jaati hai pighal
شاخ میں گل کی نزاکت یہ بہم پہنچی ہے
شمع ساں گرمیٔ نظارہ سے جاتی ہے پگھل
शाख़ में गुल की नज़ाकत ये बहम पहुँची है
शम्अ-साँ गर्मी-ए-नज़्ज़ारा से जाती है पिघल

ammaame ko utaar ke paDhiyo namaaz shaikh
sajde se varna sar ko uThaayaa na jaaegaa
kis munh se phir tu aap ko kahtaa hai ishq-baaz
ai ru-siyaah tujh se to ye bhi na ho sakaa
firaaq-e-khuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilaahi ho na vatan se koi gharib judaa
'saudaa' se shakhs ke taiin aazurda kijiye
ai khud-parast haif nahin tu vafaa-parast
ishq se to nahin huun main vaaqif
dil ko shoala saa kuchh lipaTtaa hai
ye to nahin kahtaa huun ki sach-much karo insaaf
jhuTi bhi tasalli ho to jiitaa hi rahun main
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
husn o ishq ki laag mein aksar chheD udhar se hoti hai
shama ki shoala jab lahraai uD ke chalaa parvaana bhi
avval-e-shab vo bazm ki raunaq shama bhi thi parvaana bhi
raat ke aakhir hote hote khatm thaa ye afsaana bhi