Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
is baar miri ruuh pe talvaar chali hai
is baar sanbhalne mein zaraa der lagegi
اس بار مری روح پہ تلوار چلی ہے
اس بار سنبھلنے میں ذرا دیر لگے گی
इस बार मिरी रूह पे तलवार चली है
इस बार सँभलने में ज़रा देर लगेगी

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
khudaa jaane zamaana aaj kis haalat mein rahtaa hai
ki viraanon se baDh kar hai chaman-zaaron ki rusvaai