Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
ik aur dariyaa kaa saamnaa thaa 'munir' mujh ko
main ek dariyaa ke paar utraa to main ne dekhaa
اک اور دریا کا سامنا تھا منیرؔ مجھ کو
میں ایک دریا کے پار اترا تو میں نے دیکھا
इक और दरिया का सामना था 'मुनीर' मुझ को
मैं एक दरिया के पार उतरा तो मैं ने देखा

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
ai shaaer! teraa dard baDaa ai shaaer! teri soch baDi
ai shaaer! tere siine mein is jaisaa laakh bahe dariyaa
kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi paanv aan gire dariyaa
kabhi mujhe bahaa kar le jaae kabhi mujh mein aan bahe dariyaa
mujh saa dariyaa simaT gayaa jin mein
un kinaaron ki khair ho jaae
dariyaa ko apni mauj ki tughyaaniyon se kaam
kashti kisi ki paar ho yaa darmiyaan rahe
un se bhi puchhiye kabhi apni zamin kaa karb
jo saahilon ko chhoD ke dariyaa mein aa gae