Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
aur sargarm kiyaa teri kashish ne mujh ko
utnaa main yaar huaa jitnaa vo begaana huaa
اور سرگرم کیا تیری کشش نے مجھ کو
اتنا میں یار ہوا جتنا وہ بیگانہ ہوا
और सरगर्म किया तेरी कशिश ने मुझ को
उतना मैं यार हुआ जितना वो बेगाना हुआ

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kamar-e-yaar hai baariki se ghaaeb har chand
magar itnaa to kahungaa ki vo maadum nahin
hai kabhu dil mein kabhu ji mein kabhu aankhon ke biich
kaun kahtaa hai use yaaro ki harjaai nahin
har dil mein chhupaa hai tiir koi har paanv mein hai zanjir koi
puchhe koi in se gham ke maze jo pyaar ki baatein karte hain
apnon ne nazar pheri to dil tu ne diyaa saath
duniyaa mein koi dost mire kaam to aayaa
allaah re be-khudi ki ham un ke hi ru-ba-ru
be-ikhtiyaar unhi ko pukaare chale gae