Shayari
vo sun sakein koi unvaan isi liye ham ne
badal badal ke unhein daastaan sunaai hai
masarraton ne to chaahaa thaa dil mein aa jaaein
hujum-e-gham ne magar un ko raasta na diyaa
مسرتوں نے تو چاہا تھا دل میں آ جائیں
ہجوم غم نے مگر ان کو راستہ نہ دیا
मसर्रतों ने तो चाहा था दिल में आ जाएँ
हुजूम-ए-ग़म ने मगर उन को रास्ता न दिया

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain