Shayari
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
jalegaa dil tumhein bazm-e-adu mein dekh kar meraa
dhuaan ban ban ke armaan mahfil-e-dushman se nikleinge
جلے گا دل تمہیں بزم عدو میں دیکھ کر میرا
دھواں بن بن کے ارماں محفل دشمن سے نکلیں گے
जलेगा दिल तुम्हें बज़्म-ए-अदू में देख कर मेरा
धुआँ बन बन के अरमाँ महफ़िल-ए-दुश्मन से निकलेंगे

ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
un kaa ik patlaa saa khanjar un kaa ik naazuk saa haath
vo to ye kahiye miri gardan khushi mein kaT gai
tum agar chaaho to miTTi se abhi paidaa hon phuul
main agar maangun to dariyaa bhi na de paani mujhe
zulf ko kyuun jakaD ke baandhaa hai
us ne bosa liyaa thaa gaal kaa kyaa
mire dil ne jhaTke uThaae hain kitne ye tum apni zulfon ke baalon se puchho
kaleje ki choTon ko main kyaa bataaun ye chhaati pe lahraane vaalon se puchho
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
tere saamne aate hue ghabraataa huun
lab pe tiraa iqraar hai dil mein chor bahut
dil ko kisi ki yaad se khaali na kijiye
aaseb rahne lagte hain khaali makaan mein
ab agar ishq ke aasaar nahin badleinge
ham bhi pairaaya-e-izhaar nahin badleinge
is qadar aap ke badle hue tevar hain ki main
apni hi chiiz uThaate hue Dar jaataa huun