Shayari
tu hi vo phuul hai jo hai mahbub
patte patte kaa Daali Daali kaa
phuul khulte hi titli bhi aai
kyaa koi dosti puraani hai
پھول کھلتے ہی تتلی بھی آئی
کیا کوئی دوستی پرانی ہے
फूल खुलते ही तितली भी आई
क्या कोई दोस्ती पुरानी है

tu hi vo phuul hai jo hai mahbub
patte patte kaa Daali Daali kaa
nang hai raaz-e-mohabbat kaa numaayaan honaa
mar bhi jaaun main agar tum na pareshaan honaa
rahmat-e-haq ko na kar maayus apne feal se
vo bhalaai mein nahin jo hai buraai mein mazaa
ham dil fidaa karein ki tasadduq-e-jigar karein
jo bhi kahein huzur vahi umr bhar karein
matlab kaa zamaana hai 'naadir' koi kyaa degaa
mujh sokhta-e-qismat ko degaa to khudaa degaa
bhare rahte hain ashk aankhon mein har dam
miri har saans mein ab gham ki bu hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo