Shayari
kuchh vaqt zaraa aur nahar duudh ki legi
farhaad ko tesha nahin manzur huaa hai
us ke maan baap nahin hain shaayad
varna us mein kahin bachcha hotaa
اس کے ماں باپ نہیں ہیں شاید
ورنہ اس میں کہیں بچہ ہوتا
उस के माँ बाप नहीं हैं शायद
वर्ना उस में कहीं बच्चा होता

kuchh vaqt zaraa aur nahar duudh ki legi
farhaad ko tesha nahin manzur huaa hai
nishaan raahi ke raahon pe ho na ho lekin
nishaan raahon ke aksar mileinge raahi pe
mohabbat faqat lafz thaa ek khaali
ye kis ne kahaa thaa maaani milaa do
vo niind mili hai ki jo puuri nahin hoti
vo khvaab milaa hai ki jo maazur huaa hai
andheron ujaalon ki hai ye laDaai
bujhaaoge tum ham jalaayaa kareinge
is dafa to zindagi jaldi mein thi
kah do agli baar fursat mein mile
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe