Shayari
kis ne sochaa thaa ki khud se mil kar
apni aavaaz se Dar jaanaa hai
jiyaa huun umr bhar main bhi akelaa
use bhi kyaa milaa naaraazgi se
جیا ہوں عمر بھر میں بھی اکیلا
اسے بھی کیا ملا ناراضگی سے
जिया हूँ उम्र भर मैं भी अकेला
उसे भी क्या मिला नाराज़गी से

kis ne sochaa thaa ki khud se mil kar
apni aavaaz se Dar jaanaa hai
choT khaae hue lamhon kaa sitam hai ki use
ruuh ke chehre pe dikhte hain muhaanse kitne
mire qarib koi khvaab kaise aa paataa
ki mujh mein rahte hain barson se ratjage raushan
phone par baat hui us se to andaaza huaa
apni aavaaz mein bas aaj hi shaamil huaa main
mire andar miraa kuchh bhi nahin bas tu hai baaqi
tire andar bataa pyaare main ab kitnaa bachaa huun
ek tasvir ko haTaayaa bas
dil ki divaar khaali khaali hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
jin ke baghair lagti thi be-kaar zindagi
un se hi baat karne ki hasrat nahin rahi
nikle kabhi na ghar se magar is ke baavajud
apni tamaam umr safar mein guzar gai
dimaagh ko kar rahaa huun raushan main daagh-e-dil ke jalaa rahaa huun
ab apni taarik zindagi kaa nayaa saraapaa banaa rahaa huun