Shayari
isi khayaal mein har shaam-e-intizaar kaTi
vo aa rahe hain vo aae vo aae jaate hain
is chashm-e-siyah-mast pe gesu hain pareshaan
mai-khaane pe ghanghor ghaTaa khel rahi hai
اس چشم سیہ مست پہ گیسو ہیں پریشاں
مے خانے پہ گھنگھور گھٹا کھیل رہی ہے
इस चश्म-ए-सियह-मस्त पे गेसू हैं परेशाँ
मय-ख़ाने पे घनघोर घटा खेल रही है

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
vahi saaqi vahi saaghar vahi shisha vahi baada
magar laazim nahin har ek par yaksaan asar honaa
saaqi main dekhtaa huun zamin aasmaan kaa farq
arsh-e-barin mein aur tire aastaane mein
lahu mein tairtaa phirtaa hai meraa khasta badan
main Duub jaaun to zakhmon ko dekhe-bhaale kaun
mai-kasho der hai kyaa daur chale bismillaah
aai hai shisha-o-saaghar ki talabgaar ghaTaa