Shayari
itnaa to mujhe yaad hai kuchh us ne kahaa thaa
kyaa us ne kahaa thaa ye mujhe yaad nahin hai
N
Nisar Yaar Jang Mizajlazzat-e-dard-e-mohabbat jo numaayaan ho jaae
har farishte ko ye hasrat ho ki insaan ho jaae
لذت درد محبت جو نمایاں ہو جائے
ہر فرشتے کو یہ حسرت ہو کہ انساں ہو جائے
लज़्ज़त-ए-दर्द-ए-हब्बत जो नुमायाँ हो जाए
हर फ़रिश्ते को ये हसरत हो कि इंसाँ हो जाए
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
didani hai shikastagi dil ki
kyaa imaarat ghamon ne Dhaai hai
baare duniyaa mein raho gham-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaan ki bahut yaad raho
hisaar-e-gosh-e-samaaat ki dastaras mein kahaan
tu vo sadaa jo faqat jism ko sunaai de