Shayari
aap jo kahte hain sab hazrat-e-naaseh hai bajaa
kyaa karun zehn se ye lafz utar jaate hain
satyanaas ho gayaa dil kaa
ishq ne khuub ki ukhaaD-pachhaaD
ستیاناس ہو گیا دل کا
عشق نے خوب کی اکھاڑ پچھاڑ
सत्या-नास हो गया दिल का
इश्क़ ने ख़ूब की उखाड़-पछाड़

aap jo kahte hain sab hazrat-e-naaseh hai bajaa
kyaa karun zehn se ye lafz utar jaate hain
kambakht kabhi ji se guzarne nahin deti
jiine ki tamannaa mujhe marne nahin deti
aaj aaeinge kal aaeinge kal aaeinge aaj aaeinge
muddat se yahi vo kahte hain muddat se yahi ham sunte hain
aate aate raah par vo aaeinge
jaate jaate bad-gumaani jaaegi
dil ko tum shauq se le jaao magar yaad rahe
ye na meraa na tumhaaraa na kisi kaa hogaa
kuchh aur ban paDi na savaal-e-visaal par
hairat se dekh kar vo mire munh ko rah gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae