Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
miri tarah se koi hai jo zindagi apni
tumhaari yaad ke naam intisaab kar degaa
مری طرح سے کوئی ہے جو زندگی اپنی
تمہاری یاد کے نام انتساب کر دے گا
mirī tarah se koī hai jo zindagī apnī
tumhārī yaad ke naam intisāb kar degā

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
meri chaadar to chhini thi shaam ki tanhaai mein
be-ridaai ko miri phir de gayaa tashhir kaun
baat vo aadhi raat ki raat vo puure chaand ki
chaand bhi ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhi
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
teraa ghar aur meraa jangal bhigtaa hai saath saath
aisi barsaatein ki baadal bhigtaa hai saath saath
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain