Shayari
vaqt achchhaa zarur aataa hai
par kabhi vaqt par nahin aataa
bas ek dhyaan ki main ungli thaam rakhi hai
ki bhiiD mein kahin khud se judaa na ho jaaun
بس ایک دھیان کی میں انگلی تھام رکھی ہے
کہ بھیڑ میں کہیں خود سے جدا نہ ہو جاؤں
बस एक ध्यान की मैं उँगली थाम रखी है
कि भीड़ में कहीं ख़ुद से जुदा न हो जाऊँ

vaqt achchhaa zarur aataa hai
par kabhi vaqt par nahin aataa
itnaa be-aasraa nahin huun main
aadmi huun khudaa nahin huun main
meri fitrat hi mein shaamil hai mohabbat karnaa
aur fitrat kabhi tabdil nahin ho sakti
puchhaa thaa main ne jab use kyaa mujh se ishq hai?
us ko mire savaal pe hairat nahin hui
'saahir' ye meraa dida-e-giryaan hai aur main
sahraa mein koi dusraa jharnaa to hai nahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain