Shayari
kisi ki zulf ke saude mein raat ki hai basar
kisi ke rukh ke tasavvur mein din tamaam kiyaa
P
Peer Sher Mohammad Ajizjab us ne miraa khat na chhuaa haath se apne
qaasid ne bhi chipkaa diyaa divaar se kaaghaz
جب اس نے مرا خط نہ چھوا ہاتھ سے اپنے
قاصد نے بھی چپکا دیا دیوار سے کاغذ
जब उस ने मिरा ख़त न छुआ हाथ से अपने
क़ासिद ने भी चिपका दिया दीवार से काग़ज़
kisi ki zulf ke saude mein raat ki hai basar
kisi ke rukh ke tasavvur mein din tamaam kiyaa
na to main huur kaa maftun na pari kaa aashiq
khaak ke putle kaa hai khaak kaa putlaa aashiq
phaT jaate hain zakhm-e-dil-e-betaab ke angur
saaqi tire haathon se jo saaghar nahin miltaa
shab-e-vasl aaj vo taakid karte hain mohabbat se
abhi so rahne do kuchh raat guzre to jagaa lenaa
sunaa hai arsh-e-ilaahi isi ko kahte hain
tavaaf-e-kaaba-e-dil ham ne subh-o-shaam kiyaa
naakhun kaa rang sina-kharaashi se ye huaa
surkhi shafaq se aati hai jaise hilaal par
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
sirf alfaaz pe mauquf nahin lutf-e-sukhan
aankh khaamosh agar hai to zabaan kuchh bhi nahin
chaand chal diyaa chup-chaap so gae sitaare bhi
raat ki siyaahi mein dil kaa daagh jaltaa hai
dusri ne jo sambhaali chappal
pahli biivi ki vafaa yaad aai
sochaa thaa ki us bazm mein khaamosh raheinge
mauzu-e-sukhan ban ke rahi kam-sukhani bhi