Shayari
khel-kud kar shaam Dhale kyuun
apne ghar ko jaati dhuup
mujh ko yaad rahaa tu bhulaa
baat hai ye to aadat ki
مجھ کو یاد رہا تو بھولا
بات ہے یہ تو عادت کی
मुझ को याद रहा तू भूला
बात है ये तो आदत की

khel-kud kar shaam Dhale kyuun
apne ghar ko jaati dhuup
aag lagaai tum ne hi to
logon ne to sirf havaa di
jaane kyuun log miraa naam paDhaa karte hain
main ne chehre pe tire yuun to likhaa kuchh bhi nahin
chhupi hai an-ginat chingaariyaan lafzon ke daaman mein
zaraa paDhnaa ghazal ki ye kitaab aahista aahista
shaam hui to suraj soche
saaraa din bekaar jale the
saari saari raat main jaagaa
vo meri aankhon mein soyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aur yaad ko bhulaane mein
umr ki fasl kaT gai dekho
tumhaari yaad kaa chehra hamaare dard kaa rang
nikhar gae hain sabhi ashk-baar hone se
zamaana guzraa havaa phir se yaad aane lagaa
na jaane kaun mujhe khvaab phir dikhaane lagaa
kis tarah ujDe sulagti hui yaadon ke diye
hamdamo dil ke qarib aao ruko aur suno
teri surat teri chaahat yaadein sab
chhoTe se is dil mein kyaa kyaa rakkhungaa