Shayari
jahaan gulshan vahaan gul hai jahaan gul hai vahaan bu hai
jahaan ulfat vahaan main huun jahaan main huun vahaan tu hai
Q
Qadr Bilgramiafsurda-dil ke vaaste kyaa chaandni kaa lutf
lipTaa paDaa hai murda saa goyaa kafan ke saath
افسردہ دل کے واسطے کیا چاندنی کا لطف
لپٹا پڑا ہے مردہ سا گویا کفن کے ساتھ
अफ़्सुर्दा-दिल के वास्ते क्या चाँदनी का लुत्फ़
लिपटा पड़ा है मुर्दा सा गोया कफ़न के साथ
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
lafzon ke ehtiyaat ne maani badal diye
is ehtimaam-e-shauq mein husn-e-asar gayaa
dil dukhaanaa miraa nahin maqsad
haq-bayaani miri nahin jaati
vo aaein ham se dalil maangein
jo kah rahe hain khudaa nahin hai
ishq in zaalimon ki duniyaa mein
kitni mazlum zaat hai ai dil