Shayari
miri hansi ko sar-e-bazm sah liyaa us ne
phir us ke baa'd akele mein intiqaam liyaa
dil dukhaanaa miraa nahin maqsad
haq-bayaani miri nahin jaati
دل دکھانا مرا نہیں مقصد
حق بیانی مری نہیں جاتی
दिल दुखाना मिरा नहीं मक़्सद
हक़-बयानी मिरी नहीं जाती

miri hansi ko sar-e-bazm sah liyaa us ne
phir us ke baa'd akele mein intiqaam liyaa
jis vaqt huaa karti hai bechain tabiat
us vaqt bayaabaan se lagte hain chaman bhi
hamaari samt se be-raghbati na kar varna
tire baghair qaraar aa gayaa to kyaa hogaa
vo aaein ham se dalil maangein
jo kah rahe hain khudaa nahin hai
un se baatein karte karte dil mein Tiis chamak uTThi thi
lafzon par phulon ki ridaa thi maani mein nashtar pinhaan the
miTaanaa chaahun to mumkin kahaan miTaa bhi sakun
vo ek baal jo aaina-e-khayaal mein hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jahaan kuchh dard kaa mazkur hogaa
hamaaraa sher bhi mashhur hogaa
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai