Shayari
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
Q
Qalaq Merathiandaaza aadmi kaa kahaan gar na ho sharaab
paimaana zindagi kaa nahin gar subu na ho
اندازہ آدمی کا کہاں گر نہ ہو شراب
پیمانہ زندگی کا نہیں گر سبو نہ ہو
अंदाज़ा आदमी का कहाँ गर न हो शराब
पैमाना ज़िंदगी का नहीं गर सुबू न हो
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
amn aur tere ahd mein zaalim
kis tarah khaak-e-rahguzar baiThe
har sang mein kaabe ke nihaan ishva-e-but hai
kyaa baani-e-islaam bhi ghaarat-gar-e-din thaa
ham us kuche mein uThne ke liye baiThe hain muddat se
magar kuchh kuchh sahaaraa hai abhi be-dast-o-paai kaa
be-takalluf maqaam-e-ulfat hai
daagh uTThe ki aabla baiThe
tu hai harjaai to apnaa bhi yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
miri samajh mein aa gayaa har ek raaz-e-zindagi
jo dil pe choT paD gai to duur tak nazar gai
zindagi yuun to nayaa lafz nahin hai lekin
vaqt ke saath nae is ke ma'aani nikle
aankhein hain ek 'umr se girvi rakhi huiin
dukh kaa vo qarz hai ki utaaraa nahin gayaa