Shayari
kuchh is adaa se mohabbat-shanaas honaa hai
khushi ke baab mein mujh ko udaas honaa hai
ye aashiqi tire bas ki nahin so rahne de
ki teraa kaam to bas naa-sipaas honaa hai
یہ عاشقی ترے بس کی نہیں سو رہنے دے
کہ تیرا کام تو بس نا سپاس ہونا ہے
ये आशिक़ी तिरे बस की नहीं सो रहने दे
कि तेरा काम तो बस ना-सिपास होना है

kuchh is adaa se mohabbat-shanaas honaa hai
khushi ke baab mein mujh ko udaas honaa hai
tumhaari guftugu se bhi aziiz hai mujh ko
akele baiThnaa aur khud pe tabsira karnaa
us ne ik baar to jhaankaa bhi thaa mujh mein lekin
us se dekhi na gai vusat-e-tanhaai miri
azal se meri hifaazat kaa farz hai un par
sabhi dukhon ko mere aas-paas honaa hai
main aaj sog manaanaa sikhaane vaalaa huun
idhar ko aaein jinhein mahv-e-yaas honaa hai
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa