Shayari
fasl tumhaari achchhi hogi jaao hamaare kahne se
apne gaanv ki har gori ko nai chunariyaa laa denaa
mere aangan ki udaasi na gai
roz mehmaan bulaae main ne
میرے آنگن کی اداسی نہ گئی
روز مہمان بلائے میں نے
मेरे आँगन की उदासी न गई
रोज़ मेहमान बुलाए मैं ने

fasl tumhaari achchhi hogi jaao hamaare kahne se
apne gaanv ki har gori ko nai chunariyaa laa denaa
bastiyon mein ham bhi rahte hain magar
jaise aavaara havaa sahraaon mein
ham koi achchhe chor nahin par ek dafa to ham ne bhi
saaraa gahna luuT liyaa thaa aadhi raat ke mehmaan kaa
tez havaa ke saath chalaa hai zard musaafir mausam kaa
os ne daaman thaam liyaa to pal-do-pal ko rukaa bhi hai
meraa bhi ek baap thaa achchhaa saa ek baap
vo jis jagah pahunch ke maraa thaa vahin huun main
ThanDi chaae ki pyaali pi ke
raat ki pyaas bujhaai hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
nahin bujhti hai pyaas aansu siin lekin
karein kyaa ab to yaan paani yahi hai
dil-e-sad-chaak miraa raah yahaan kab paae
kucha-e-zulf mein phirtaa hai tire shaana kharaab
sadiyon se mire paanv tale jannat-e-insaan
main jannat-e-insaan kaa pataa DhunDh rahi huun