Shayari
rah-e-hayaat mein kaanTon ne mehrbaan ho kar
bachaa liyaa hai azaab-e-shaguftagi se mujhe
sabhon se miltaa huun begaana-e-talab ho kar
na dosti se gharaz hai na dushmani se mujhe
سبھوں سے ملتا ہوں بیگانۂ طلب ہو کر
نہ دوستی سے غرض ہے نہ دشمنی سے مجھے
सभों से मिलता हूँ बेगाना-ए-तलब हो कर
न दोस्ती से ग़रज़ है न दुश्मनी से मुझे

rah-e-hayaat mein kaanTon ne mehrbaan ho kar
bachaa liyaa hai azaab-e-shaguftagi se mujhe
miri anaa ne sabaq de ke khud-parasti kaa
chhuDaa diyaa hai zamaane ki bandagi se mujhe
hai samundar saamne pyaase bhi hain paani bhi hai
tishnagi kaise bujhaaein ye pareshaani bhi hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
nargisi chashm dikhaa kar ke vo vahshat-zada yaar
ye gayaa vo gayaa jis tarah ghazaal aap se aap
mere dushman to puchh sakte hain
dosto tum mizaaj mat puchho
tiraa visaal baDi chiiz hai magar ai dost
visaal ko miri duniyaa-e-aarzu na banaa
nahin maalum ai yaaro 'sabaa' ke dil mein kyaa aayaa
abhi jo baiThe baiThe vo yakaayak aah kar uTThaa
zarre zarre mein mahak pyaar ki Daali jaae
bu taassub ki har ik dil se nikaali jaae