Shayari
tumhaaraa naam kisi ajnabi ke lab par thaa
zaraa si baat thi dil ko magar lagi hai bahut
jab bhi tiri qurbat ke kuchh imkaan nazar aae
ham khush hue itne ki pareshaan nazar aae
جب بھی تری قربت کے کچھ امکاں نظر آئے
ہم خوش ہوئے اتنے کی پریشاں نظر آئے
जब भी तिरी क़ुर्बत के कुछ इम्काँ नज़र आए
हम ख़ुश हुए इतने की परेशाँ नज़र आए

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
kuchh aastinon ki majburiyaan bhi hoti hain
khushi se apni bhalaa saanp kaun paaltaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa