Shayari
khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
devtaa banne ki hasrat mein muallaq ho gae
ab zaraa niche utariye aadmi ban jaaiye
دیوتا بننے کی حسرت میں معلق ہو گئے
اب ذرا نیچے اتریے آدمی بن جائیے
देवता बनने की हसरत में मुअल्लक़ हो गए
अब ज़रा नीचे उतरिए आदमी बन जाइए

khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan
main gham ko basaa rahaa huun dil mein
be-ghar ko makaan de rahaa huun
ghar mein kuchh kam hai ye ehsaas bhi hotaa hai 'salim'
ye bhi khultaa nahin kis shai ki kami lagti hai
jaane andar kyaa huaa main shor sun kar ai 'salim'
us jagah pahunchaa to dekhaa band vo darvaaza thaa
ik aag si jalti rahi taa-umr lahu mein
ham apne hi ehsaas mein pakte rahe taa-der
jitnaa aankh se kam dekhun
utni duur dikhaai de
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
'jalil' ik sher bhi khaali na paayaa dard o hasrat se
ghazal-khvaani nahin ye dar-haqiqat nauha-khvaani hai
masarrat zindagi kaa dusraa naam
masarrat ki tamannaa mustaqil gham
honTon ko roz ik nae dariyaa ki aarzu
le jaaegi ye pyaas ki aavaargi kahaan
hikaayat-e-ishq se bhi dil kaa ilaaj mumkin nahin ki ab bhi
firaaq ki talkhiyaan vahi hain visaal ki aarzu vahi hai