Shayari
miTTi ki fazilat pe bahut she'r kahe hain
sone se likhaa jaaegaa divaan hamaaraa
tishna-kaami agar payambar ho
kaun kalma paDhegaa paani kaa
تشنہ کامی اگر پیمبر ہو
کون کلمہ پڑھے گا پانی کا
तिश्ना-कामी अगर पयम्बर हो
कौन कलमा पढ़ेगा पानी का

miTTi ki fazilat pe bahut she'r kahe hain
sone se likhaa jaaegaa divaan hamaaraa
aankhein taDap rahi hain miri kuchh khayaal kar
band-e-qabaa ko khol badan ko bahaal kar
kaun sukhe hue phulon ki taraf dekhtaa hai
zakhm thoDe se hare hon to numaaish karein ham
huun paarsaa tire pahlu mein shab guzaar ke bhi
main be-libaas nahin pairahan utaar ke bhi
ham aadmi ki tarah ji rahe hain sadiyon se
chalo 'salim' ab insaan ho ke dekhte hain
umr bhar jis ke liye peT se baandhe patthar
ab vo gin gin ke khilaataa hai nivaale mujh ko
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai