Shayari
saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
sochtaa huun ki us se bach niklun
bach nikalne ke baa'd kyaa hogaa
سوچتا ہوں کہ اس سے بچ نکلوں
بچ نکلنے کے بعد کیا ہوگا
सोचता हूँ कि उस से बच निकलूँ
बच निकलने के ब'अद क्या होगा

saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
shahzaadi tujhe kaun bataae tere charaag-kade tak
kitni mehraabein paDti hain kitne dar aate hain
kyuun girafta-dil nazar aati hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujud hain
jise anjaam tum samajhti ho
ibtidaa hai kisi kahaani ki
ik daastaan ab bhi sunaate hain farsh o baam
vo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
teri aashufta-mizaaji ai dil
kyaa khabar kaun nagar le jaae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
be-fikr raho yaaro main aaj bhi huun barbaad
din phir gae hain mere afvaah uDi hogi
jaane kyaa soch ke phir in ko rihaai de di
ham ne ab ke bhi parindon ko tah-e-daam kiyaa
tah kar chuke bisaat-e-gham-o-fikr-e-rozgaar
tab khaanqaah-e-ishq-o-mohabbat mein aae hain
kabhi miloge ye soch kar dil
hazaar sapne bunaa karegaa