Shayari
khamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zaraa taskin hoti hai
dil-e-muztar se puchh ai raunaq-e-bazm
main khud aayaa nahin laayaa gayaa huun
دل مضطر سے پوچھ اے رونق بزم
میں خود آیا نہیں لایا گیا ہوں
दिल-ए-मुज़्तर से पूछ ऐ रौनक़-ए-बज़्म
मैं ख़ुद आया नहीं लाया गया हूँ

khamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zaraa taskin hoti hai
ye bazm-e-mai hai yaan kotaah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar khud uThaa le haath mein miinaa usi kaa hai
ab bhi ik umr pe jiine kaa na andaaz aayaa
zindagi chhoD de pichhaa miraa main baaz aayaa
sun chuke jab haal meraa le ke angDaai kahaa
kis ghazab kaa dard zaalim tere afsaane mein thaa
jaise miri nigaah ne dekhaa na ho kabhi
mahsus ye huaa tujhe har baar dekh kar
dekhaa kiye vo mast nigaahon se baar baar
jab tak sharaab aai kai daur ho gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye