Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
khultaa hai har ik shakhs ke qaamat ke baraabar
ye dil hai koi kaaTh kaa darvaaza nahin hai
کھلتا ہے ہر اک شخص کے قامت کے برابر
یہ دل ہے کوئی کاٹھ کا دروازہ نہیں ہے
खुलता है हर इक शख़्स के क़ामत के बराबर
ये दिल है कोई काठ का दरवाज़ा नहीं है

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
ishq mein maarka-e-qalb-o-nazar kyaa kahiye
choT lagti hai kahin dard kahin hotaa hai
dil se aati hai baat lab pe 'hafiz'
baat dil mein kahaan se aati hai
dil mein ik shor saa uThaa thaa kabhi
phir ye hangaama umr bhar hi rahaa