Shayari
tumhaari maut ne maaraa hai jite-ji ham ko
hamaari jaan bhi goyaa tumhaari jaan mein thi
jaane kaisaa rishta hai rahguzar kaa qadmon se
thak ke baiTh jaaun to raasta bulaataa hai
جانے کیسا رشتہ ہے رہ گزر کا قدموں سے
تھک کے بیٹھ جاؤں تو راستہ بلاتا ہے
जाने कैसा रिश्ता है रहगुज़र का क़दमों से
थक के बैठ जाऊँ तो रास्ता बुलाता है

tumhaari maut ne maaraa hai jite-ji ham ko
hamaari jaan bhi goyaa tumhaari jaan mein thi
kuchh dinon ke liye manzar se agar haT jaao
zindagi bhar ki shanaasaai chali jaati hai
isi khataa pe bujhaae gae charaagh mire
main jaantaa thaa bahut kuchh havaa ke baare mein
ghar ke divaar-o-dar pe shaam hi se
nazm likhtaa huaa hai sannaaTaa
haar ho jaati hai jab maan liyaa jaataa hai
jiit tab hoti hai jab Thaan liyaa jaataa hai
mujh ko bikhraayaa gayaa aur sameTaa bhi gayaa
jaane ab kyaa miri miTTi se khudaa chaahtaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
dimaagh un ke tajassus mein jism ghar mein rahaa
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein rahaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai