Shayari
haasil huaa hai tujh ko mujhi se shu'ur-e-zaat
main teraa aaina huun miraa ehtiraam kar
mo'jizaat-e-dast-e-kun dekhne the so ham ne
pattharon pe de maaraa khud ko aaina kar ke
معجزات دست کن دیکھنے تھے سو ہم نے
پتھروں پہ دے مارا خود کو آئینہ کر کے
मो'जिज़ात-ए-दस्त-ए-कुन देखने थे सो हम ने
पत्थरों पे दे मारा ख़ुद को आईना कर के

haasil huaa hai tujh ko mujhi se shu'ur-e-zaat
main teraa aaina huun miraa ehtiraam kar
kuza-gar kis ko mayassar rahi fursat teri
kyon hamein chaak se 'ujlat mein utaaraa tu ne
agar main chaahun bas ik chaal se ulaT duun bisaat
mujhe khabar hai kahaan kis ne daao khelaa hai
shikastagi thi kuchh aisi ki kuza-gar meraa
banaa ke mujh ko baDi der tak udaas rahaa
ai naqsh-gar yaqin kar achchhaa nahin banaa
laa phir se kaaenaat kaa naqsha banaaun main
bachchon ke haath mein bhalaa dete hain aisi chiiz
dekho kharaab ho gai mujh se ye zindagi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe